5 [ BEST ] Secret Tricks Of Computer You Should Know in 2020.

5 [ BEST ] Secret Tricks Of  Computer You Should Know 2020. 

To Ye 5 Secret kya hai . To chaliye baat karte hai in Secret ke baare me agar aap in secret ko sikh jaate ho to aap dusre computer user se jyada intelligent ban sakte ho.
BEST  Secret Trick Of Computer



Ye Secret Trick Har ksi ko pata nahi hoti he . Aap Inko Jarur use kare apne computer me.
Yah Aapke Exprience ko or bhi jyada bada dega.


List of all Secret


  1. Invisible Folder OR Folder Without Name
  2. Change Icon Of Folders
  3. On Screen Keyboard ( Virtual Keyboard )
  4. Invalid Name Folder 
  5. Replace AM and PM By your name in Clock

1. Invisible Folder Or Folder Without Name 

Agar aap chahte hai ki koi bhi apka personal folder aapke PC me nahi dekh sake to iske liye ek trick he. Iske Liye aap invisible folder bhi bana sakte ho .

yah folder dikhega nahi us position par select karne par hi dikhega .

Apko Koi bana hua folder select karna hai .phir usko Rename karna he .
Rename Karne me aapko Alt Button ko press kar ke rakhna he or uske sath hi 255  likhna hai . or Enter Press karna hai .

Isse aapke folder ka naam gayab (Invisible) Ho jayega .

2. Change Icon Of Folder 

kisi bhi folder ka icon change karne ke liye . Sabse phle us folder ko select karna hai or mouse se Right Click karna he . 

Uske baad Properties par Click karna he. 

Properties me Customize Tab me click karna hai .

Customize Tab me Change Icon par Click karna he.

Browse...  par click kare . Then vah Image ya Icon select kare jisko folder par Show karna he.

then Open pe click kare , phir Ok par click kare and Apply par click kare or OK par click kar de .

Ho gaya Icon Change.

Note :-  Yaha Icon ka Extension ( .ico ) hi hona chahiye .


Also Check These Article
  1. What is Li-Fi Technology
  2. What is Software
  3. What is Kiss Formula Of Bussiness
  4. Secret Phone Locker


3. On Screen Keyboard ( Virtual Keyboard )

Agar Aapka Keyboard kharab ho gaya he . Or iski vajah se apka Important work ruk gaya he .
To Don't Worry Iske liye bhi Apke Computer me ek Solution he.

Apke Computer me Virtual Keyboard hota he. Iske Use karke aap koi bhi kaam jo keyboard se related he kar sakte he.

Sabse phle Start Menu me jaye . Jo ki computer me sabse niche left side me hota he (Only For Windows Users ) .

Uske baad Run ya Search Box me Osk Type kare . Or samne Osk aa jayega List me . Us par Click karna he.

aapke ke samne ek virtual keyboard open ho jayega niche screen pe dekh sakte he. 

On Screen Keyboard OR Virtual Keyboard


4. Invalid Name Folder

PC me bahut saare names se folder nahi bana sakte he or agar banane ka try karte he to .
Is Type ka Invalid Masseg Box Show hota he.

The Specified device name is invalid


In Names Ki List is Type se he . 

con , aux , nul , lpt1 , lpt2 etc. Ye Name ke Folder aap PC me Direct nahi bana sakte he. 

Inko banane ke liye aapko ek New Folder Create karna he . Phir usko Rename karna he.Rename karte time Alt Button ke sath me 255 Press karna he .

Uske bad Alt Button ko chhodkar con, aux or jo bhi upar diye gaye he unke name type kar ke Eneter Press karna he . Is Type se folder bana sakte he .

5. Replace AM and PM By your name in Clock

Apne Computer ya PC me Time me AM And PM ki jagah Apna Name Show karne ke liye niche di gayi Instruction ko Follow kare.

Sabse phle Taskbar Me Right Side me Time or Date par Click kare .

Change time and date settings....  par Click kare .

change date and time.... par click kare .

Change celender settings Pe Click kare .

Phir Time Tab par jakar AM Symbol And PM Symbol par apna name type kare .Jo Aap AM and PM ki jagah par dikhan chahte he .

Iske Baad Apply and Ok par Click kar de.

Koi Problem ho to Comment kar ke bataye .  

2 comments:

INSTAGRAM FEED

@soratemplates